Wednesday, March 19, 2014

Ghazal : By- Irfan Nasirabadi


        kitne murda khwabo.n ko aagahi ke daaman me
        hamne zindagi di hai,,,,, zindagi ke daaman me

  be-dayaar aankho.n se,,,,,,, jab gira koi aansoo
  ghoom phir ke pahuncha hai aap hi ke daaman me


        mujh se milne aata hai,, ab kaha.n koi sooraj
        sirf chand jugnoo hain roushni ke daaman me


  kiyun udaas hain kaliyan kiyun bahar roti hai
  koun see gaya kaante gulpari ke daaman me


         tang-dil zamaane me,,,is saraa-e-faani me
         mukhtser si khushiyan hain aadmi ke daaman me


  jab hawas* takabbur* ka haath tham leti hai
  tab gunaah hote hain ,,teergi ke daaman me


         roz marke jeete hain,,roz jeeke marte hain
         kitne khwab toote hain bebasi ke daaman me


  dekhiye zara* irfa.n* qaafiya - radeefo.n ki
  kya ajeeb duniya hai ,shairi ke daaman me

                                   By - Irfan nasirabadi

3 comments:

  1. dekhiye zara* irfa.n* qaafiya - radeefo.n ki
    kya ajeeb duniya hai ,shairi ke daaman me.....bhot khoob janab

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete