Saturday, March 22, 2014

"आग का दरिया": By -Irfan nasirabadi

कैसे कहे हम उनको शरियत के पासबाँ,
जो छीन ले यतीमो के हाथों से रोटियाँ,

इंसानियत के खून से लिखते हैं दास्ताँ
चलती है मस्जिदों में नमाज़ी पे गोलियाँ,
सुन्नी शिया वहाबी में इन्सान बट गया,
फ़िर्खो की सरज़मीं पे मुस्लमान बट गया,

इरफ़ान दिन गुज़ारे कोई क्या हसी ख़ुशी,
बहरैन जल रहा है मुसीबत की है घड़ी,
बारूद के जज़ीरे पे बैठी है ज़िन्दगी,
इंसानियत के रूख से टपकती है बेबसी,

आवाज़ आ रही है यही मशरकैंन की,
दुनिया को आज फिर है ज़रुरत हुसैन की!!!!

                          -इरफ़ान नसीराबादी 

.......................................................................
.......................................................................

    "aag ka dariya"
kaise kahe ham unko sariyat ke pasbaan,
jo cheen le yateemo ke haatho se rotiyan,

insaaniyat ke khoon se likhte hai daastan,
chalti hai masjidon me nemazon me goliyan,

sunni shiya wahabi me insaan bat gya,
firkhon ki sarzami pe musalmaan bat gya,

irfan din guzare koi kya hasi khushi,
bahrain jal raha hai musibat ki hai ghadhi,

barood ke jazeere pe baithi hai zindagi,
insaniyat ke rukh se tapakti hai be basi,

aawaz arahi hai yahi mashrakhain ki,
duniya ko aaj phir hai zarurat hussain(a.s) ki,

by-Irfan nasirabadi

"ग़ज़ल" : By- Irfan Nasirabadi

हम जुबां हम नवा नहीं मिलता,
 वरना दुनिया में क्या नहीं मिलता,

 दिल की गहराइयों में डूबेंगे,
 देखे कैसे खुदा नहीं मिलता,

 मुझको मंजिल क़रीब लगती है,
 वरना क्यूँ रास्ता नहीं मिलता,

 वक़्त पे खुद को छोड़ देते हैं,
जब कोई आसरा नहीं मिलता,

गर ज़माने में कुछ वफ़ा होती,
फिर कोई बेवफा नहीं मिलता,

 किस से 'इरफ़ानहाले दिल कहिये,
जब कोई आशना नहीं मिलता,

Wednesday, March 19, 2014

Ghazal : By- Irfan Nasirabadi


        kitne murda khwabo.n ko aagahi ke daaman me
        hamne zindagi di hai,,,,, zindagi ke daaman me

  be-dayaar aankho.n se,,,,,,, jab gira koi aansoo
  ghoom phir ke pahuncha hai aap hi ke daaman me


        mujh se milne aata hai,, ab kaha.n koi sooraj
        sirf chand jugnoo hain roushni ke daaman me


  kiyun udaas hain kaliyan kiyun bahar roti hai
  koun see gaya kaante gulpari ke daaman me


         tang-dil zamaane me,,,is saraa-e-faani me
         mukhtser si khushiyan hain aadmi ke daaman me


  jab hawas* takabbur* ka haath tham leti hai
  tab gunaah hote hain ,,teergi ke daaman me


         roz marke jeete hain,,roz jeeke marte hain
         kitne khwab toote hain bebasi ke daaman me


  dekhiye zara* irfa.n* qaafiya - radeefo.n ki
  kya ajeeb duniya hai ,shairi ke daaman me

                                   By - Irfan nasirabadi

Ghazal : By- Irfan Nasirabadi


         hota hai zaalimo.n ,,ki duaa me aser kahiN
         sookhe huye sajar pa phale haiN samer kahin

  manzil to samne hai mager sochta hun main
  dhoka na de de mujhko meri rah-guzer kahiN


          tu bastiyaN basane me masroof hai mager
          barbaad ho na jaaye tera apna ghar kahin


  ek din tumhare dil me bhi woh ghar banayega
  rukte haiN ek jagah pa bhala fitnager kahin


          sahra ki khak chan raha hun main ishq me
          woh bhi to hoga mere liye dar-b-dar kahin


   jab se mili hai uski nazar se meri nazar
   pata nahin hun tab se main apni khaber kahin


            rustam ki daastan sunaane se kya mila
            jata hai buzdiloN ke diloN se bhi dar kahin


 jo sar kata ke zum ka ser kaat le gaye-------sp
 sadiyoN me paida hote hain aise basher kahin


             nikla hai haq bachane,,,, kate sar ka qafila
             dekha hai kya hayaat ne aisa safer kahin


 irfan* tumko kho ke yahi sochta hoon main
 mujhko yeh gham rulaaye na ab umr bher kahiN
                                     
              "Irfan nasirabadi"


Sunday, March 16, 2014

Kalam-E- Irfan (Irfan Nasirabadi famous couplets)

sabr insan ko shabbir bna deta hai,

sabr ko shukr ke sajde se milana sikho....!!!

-Irfan nasirabadi

Kalam-E- Irfan (Irfan Nasirabadi famous couplets)

ungali pakde hue le aao azakhane me,
apne baccho ko bhi jannat me ghumana sikho!!!

-Irfan nasirabadi



Kalam-E- Irfan (Irfan Nasirabadi famous couplets)

ye shabb-e-dariyan soye zameeron ko jagatein hain,
hazaron hur * yahan apna muqadder leke aaye hain...!

-Irfan nasirabadi

Kalam-E- Irfan (Irfan Nasirabadi famous couplets)

utha ke sir chali jab karbala ke dasht me bayyat,
bahattar thokre mari abutalib ke pote ne....
"irfan nasirabadi"

Kalam-E- Irfan

islaam kya hai sochiye maazi se haal tak,
aadam se leke aamina bibi(s.a) ke laal tak,
ye koun kah raha hai ki khamosh the rasool(pbuh),
kirdaar bolta raha chalees(40) saal tak!!!!

-Irfan nasirabadi

Kalam-E- Irfan

ishq-e-haider(a.s) ke liye wo jurrat-e-izhaar ho,
dar khud pooche ki kya tum misam-e-tammar(a.s) ho,
ek jumlaa hi bahot hai haq samajhne ke liye,
yaa ali(a.s) kahne ka matlab hai ke izzatdar ho!!!

-Irfan nasirabadi

Saturday, March 15, 2014

Kalam-E- Irfan

zer-e-tegh batlaaya....laa ilaha illallah,
sar kata ke samjhaya....laa ilaha illallah,
khanjaron ki basti me ek aisa sajda hai,
jisne sab se kahlaaya....laa ilaha illallaah!!!

-Irfan nasirabadi

Friday, March 14, 2014

"Koi yateem na ho" : By - Irfan Nasirabadi

meri tarah mere baba ,koi yateem na ho
hui hai jai se sakina, koi yateem na ho!!

                     *

yateem ho ke yatimi ka dard samjha hai
ye gham saha nahi jata ,koi yatim na ho!!

                     *


suna tha log yatimon se pyar karte hain
main bad nasib hun baba,koi yatim na ho!!

                     *

koi to sar pa muhabbat se hath rakh deta
koi to deta dilaasa, koi yateem na ho!!

                    *

na aap aate hain baba na mout aati hai
azaab ho gaya jeena, koi yatim na ho!!
                    *

mujhe yatimi ka ehsaas yeh dilaata hai
mera fata hua kurta,koi yateem na ho!!
                    *

juda na ho kabhi *irfan* baap, beti se
uthe na baap ka saya, koi yateem na ho!!


by- Irfan nasirabadi